News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 316
Most Online Ever: 948
(January 29, 2025, 05:21:28 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 301
Total: 301
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#451
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasdeeq Aur Taqleed)
December 16, 2014, 10:18:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum na Ahle-Kitab ki tasdeeq karo aur na uski takzeeb, balke kaho ke ham Allah aur Us ki tamam nazil ki hui Kitabun per Imaan lye. [7542: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#452
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ke Qareeb Hona)
December 15, 2014, 08:54:31 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke jab banda Mujhse aik (1) balisht qareeb hota ha to Mein aik (1) Hath us se qareeb hota hun aur jab banda Mujhse aik (1) Hath qareeb hota ha to Mein us se do (2) Hath qareeb Hota Hun aur jab wo Mery pas paidal chal ker ata ha to Mein dorr ker aa jata Hun. [7536: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#453
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Afzal Amal)
December 14, 2014, 10:05:05 PM
Aik (1) shaks ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha konsa amal sab se afzal ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke apny waqat per Nimaz parhna aur waldain ke sath naik mamla kerna, phir Allah ke rasty mein Jihad kerna. [7534: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#454
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk ke qabil to do (2) hi admi hein. Aik (1) wo jisy Allah ne Qur'an diya aur wo iski Tilawat raat-o-din kerta rehta ha aur dosra (2) wo jisy Allah ne maal diya ho aur wo isy raat-o-din kharch kerta raha. [7529: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salim]
#455
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk sirf do (2) admiun per kiya ja skta ha. Aik (1) is per jisy Allah ne Qur'an ka Ilm diya aur wo iski tilawat din raat kerta rehta ha to (1) daikhny wala kehta ha ke kash mujhy bhi isi jaisa Qur'an ka Ilm hota to Mein bhi iski tarhan tilawat kerta rehta aur dosra wo shaks jisy Allah ne maal diya aur wo isy iske Haq mein kharch kerta ha jisy daikhny wala kehta ha ke kash mujhy bhi Allah itna maal deta to mein bhi isi tarhan kharch kerta jaisy ye kerta ha. [7528: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#456
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Bara Gunah)
December 11, 2014, 08:27:07 PM
Hazrat Abdullah bin Masood ne byan kiya ke mein ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke konsa gunah Allah ke yahan sab se bara ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum Allah ke sath kisi ko shareek tehrao halanke Usi ne tumhein paida kiya ha. Mein ne kaha ke ye to bohat bara gunah ha. Mein ne arz kiya phir konsa? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum apny bachy ko is khatra ki waja se qatal ker do ke wo tumhary sath khayega. Mein ne arz kiya phir kon? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum apny parosi ki bivi se zina kro. [7520: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#457
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Afzal Inam)
December 10, 2014, 10:20:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Jannat walun se Kahyga Aye Jannat walo! Wo boleingy hazir Teri khidmat ke lye musta'id, sari bhalai Tery Dono Hathun mein ha. Allah poochyga kiya tum khush ho? Wo jawab deingy kyun nhi, ham khush hongy Aye Rab! Aur Tu ne hamein wo chezain ata ki hein jo kisi makhlooq ko nhi ata kein. Allah farmaye Ga kiya Mein tumhein is se afzal inaam na dun? Jannati poochein gy Aye Rab! Is se afzal kiya cheez ho skti ha, Allah farmye Ga ke Mein Apni Khushi tum per Utarta Hun aur ab kabhi tum se naraz nhi Honga. [7518: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#458
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pas Jahanum Se Bacho)
December 09, 2014, 10:10:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me se her shaks se tumhara Rab is tarhan baat Kryga ke tumhary aur Us (Allah) ke darmyan koi tarjuman nhi hoga wo apny dayein (right) taraf daikhyga aur usy apny a'maal ke siwa aur kuch nhi nazar ayega aur wo apny bayein (left) taraf daikhyga aur usy apny a'maal ke siwa kuch nazar nhi ayega. Phir apny samny daikhyga to apny samny jahanum ke siwa aur koi cheez na daikhyga. Pas jahanum se bacho khwah khajoor ke aik (1) tukry hi ke zarya ho sky. [7512: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adi bin Hatim]
#459
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein sab se baad mein dakhil hony wala aur dozakh se sab se baad mein nikalny wala wo shaks hoga jo ghisit ker niklyga. Is se iska Rab khyga Jannat mein dakhil hoja. Wo khyga Mery Rab! Jannat to bilkul bhari hui ha. Is tarhan Allah teen (3) martaba is se Khyga aur her martaba ye banda jawab dega ke Jannat to bhari hui ha. Phir Allah farmay Ga tery liye dunya ke das (10) gunah ha. [7511: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#460
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rai Ke Dana Ke Baraber)
December 07, 2014, 08:42:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din Meri Shifa'at qabool ki jyegi. Mein kahun ga Aye Rab! Jis ke dil mein rai ke dana ke baraber bhi Imaan ho usko bhi jannat mein dakhil farma de. Aisy log Jannat mein dakhil ker diye jyengy. Mein phir arz krunga Aye Rab! Jannat mein isy bhi dakhil ker dy jiske dil mein mamooli sa bhi Imaan ho. [7509: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#461
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks ne jisne (Bani Israil mein se) koi naik kaam kabhi nhi kiya tha, wasiyat ki ke jab wo mar jye to usy jala dalein aur uski aadhi raakh khuski mein aur aadhi darya mein bakhair dein kyunke Allah ki qasam agr Allah ne mujh per qabu paa liya to aisa azab mujhko dega jo dunya ke kisi shaks ko bhi Wo nhi dega. Phir Allah ne sumandar ko hukam diya aur usne tamam rakh jama ker di jo uske andar thi, phir Usne khushki ko hukam diya aur usne bhi apni tamam rakh jama ker di jo uske andar thi. Phir Allah ne us se poocha tu ne aisa kyun kiya tha? Usne arz kiya Ay Rab! Tery khof se mein ne aisa kiya aur Tu sab se zyada janny wala ha. Pas Allah ne usko bakhsh diya. [7506: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#462
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein apny bandy ke guman ke sath hun jo wo Mery motaliq rakhta ha. [7505: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#463
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naiki)
December 05, 2014, 12:05:51 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke Jab Mera banda kisi burai ka irada kry to usy na likho yahan tak ke isy ker na ly. Jab isko ker ly phir isy iske baraber likho aur agr is burai ko wo Mery khof se chor de to iske haq mein aik (1) naiki likho aur agr banda koi naiki kerni chahy to uske lye irada hi per aik (1) naiki likh lo aur agr wo is naiki ko ker bhi le to is jaisi das (10) naikiyan iske lye likho. [7501: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#464
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab raat mein Tahajjud parhny uthty to kehty Aye Allah! Hamad Tery (Allah) hi ke lye ha ke Tu asman-o-zameen ka Noor ha. Hamad Tery hi liye ha ke Tu asman-o-zamen ka thamny wala ha. Hamad Tery hi liye ha ke Tu asman-o-zameen ka aur jo kuch isme ha sab ka Rab ha. Tu sach ha, Tera wada sacha ha aur Tera qoal sacha ha. Teri mulaqat sachi ha, Jannat sach ha aur dozakh sach ha. Sary Anbiya sachy hein aur Qiyamat sach ha. Aye Allah! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Tery samny hi jhuka, Tujh per Iman laya, Tujh per bharosa kiya, Teri hi taraf raju kiya, Tery hi samny apna jhagra paish kerta aur Tujh hi se apna faisla chahta hun pas Tu Meri maghfarat kerdy agly pichly tamam gunahun ki jo Mein ne chupa ker kiye aur jo zahir kiye. Tu hi Mera ma'bood ha, Tery siwa aur koi ma'bood nhi. [7499: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
#465
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat)
December 02, 2014, 09:00:31 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke Jannat mein Mein (Allah ne) Apny naik bandun ke lye wo chezain tyar ker rakhi hein jinhein na ankhun ne daikha, na kanun ne suna aur na kisi insan ke dil mein inka kyal guzra. [7498: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal