News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 332
Most Online Ever: 948
(January 29, 2025, 05:21:28 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 248
Total: 248
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#496
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi apni bivi ke pas jany ka irada kry aur ye Dua parh le "Shorow Allah ke Naam se, Aye Allah! Hamein shaitan se door rakhna aur Tu jo hamein bacha ata kry usy bhi shaitan se door rakhna" to agr isi sohbat mein in dono se koi bacha naseeb hua to shaitan usy kbhi nuqsan nhi pohancha skyga. [7396: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#497
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab apny bistar per laitny jaty to ye Dua kerty "Aye Allah! Tery Naam ke sath zinda hun aur isi ke sath marun ga" aur jab subha hoti to ye Dua kerty "Tamam ta'reef Us Allah ke lye ha Jis ne iske baad zinda kiya ke ham mar chuky thy aur Usi (Allah) ki taraf uth ker jana ha". [7394: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#498
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks apny bistar per jye to usy chahye ke usy apny kapry ke kinary se teen (3) martaba saaf ker ly aur ye Dua parhy, "Aye Mery Rab! Tera Naam le ker mein apni karwat rakhta hun aur Tery naam hi ke sath isy uthaunga. Agr Tu ne meri jaan ko baqi rakha to isy maaf kerna aur agr isy (apni taraf soty hi mein) utha liya to iski hifazat is tarhan kerna jis tarhan Tu Apny naik-o-kar bandun ki hifazat kerta ha". [7393: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#499
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bistar Per Jye To)
October 28, 2014, 09:12:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks apny bistar per jye to usy chahye ke usy apny kapry ke kinary se teen (3) martaba saaf ker ly aur ye Dua parhy, "Aye Mery Rab! Tera Naam le ker mein apni karwat rakhta hun aur Tery naam hi ke sath isy uthaunga. Agr Tu ne meri jaan ko baqi rakha to isy maf kerna aur agr isy (apni taraf soty hi mein) utha liya to iski hifazat is tarhan kerna jis tarhan Tu Apny naik-o-kar bandun ki hifazat kerta ha". [7393: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#500
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Mein Jyega)
October 27, 2014, 09:28:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke ninway (99) naam hein. Jo inhein yaad ker lega wo Jannat mein jyega. [7392: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#501
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Raat Ki Dua)
October 26, 2014, 08:19:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam raat mein ye Dua kerty thy. "Aye Allah! Tery hi lye ta'reef ha Tu asman-o-zameen ka Malik ha, Hamd Tery lye hi ha, Tu asman-o-zameen ka qaim kerny wala ha aur in sab ka jo ismein hein. Tery hi lye Hamd ha Tu asman-o-zameen ka Noor ha. Tera qoal Haq ha aur Tera wada sach ha aur Teri mulaqat sach ha aur Jannat sach ha aur dozakh sach ha aur qiyamat sach ha. Aye Allah! Mein ne Tery hi samny sir jhuka diya, Mein Tujh hi per Imaan laya, Mein ne Tery hi upper bharosa kiya aur Teri hi taraf raju kiya. Mein ne Teri hi madad ke sath muqabla kiya aur Mein Tujhi se insaaf ka talab-gar hun, pas Tu Meri Maghfarat ker, in tamam gunahun mein jo Mein pehly ker chuka hun aur jo baad mein Mujh se sadir hon, jo Mein ne chupa rakhy hein aur jin ka Mein ne izhar kiya ha, Tu hi Mera Ma'bood ha aur Tery siwa aur koi Ma'bood nhi". [7385: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#502
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dozakhyun ko baraber dozakh mein dala jata rhyga aur wo khy jyegi ke kya abhi aur bhi ha? Yahan tak ke Rab-ul-Aalameen is per Apna Qadam rakh dega aur phir is ka baaz (hissa) baaz (hissa) se simat jyega aur us waqat wo khygi ke bas bas, Teri Izzat aur Karam ki Qasam! Aur Jannat mein jagah baqi reh jyegi, yahan tak ke Allah is (dozakh) ke lye aik (1) aur makhlooq paida ker dega aur wo log Jannat ke baqi hissy mein rhngy. [7384: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#503
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! "Teri Izzat ki panha mangta hun ke koi ma'bood Tery (Allah ke) siwa nhi, Teri aisi Zaat ha jisy mo'at nhi aur jin-o-ins fana ho jyengy". [7383: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibne-e-Abbas]
#504
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Qiyamat ke din zameen ko Apni Muthi mein le lega aur asman ko Apny Dayein (Right) Hath mein lapait lega phir farmaye ga "Mein Badsha Hun, Kahan Hein Zameen Ke Badsha". [7382: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#505
Agr tum me se koi ye kehta ha ke Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apny Rab ko daikha to wo ghalt kehta ha kyunke Allah apny bary mein khud kehta ha ke nazrain usko nhi daikh saktein aur jo koi kehta ha ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ghaib janty thy to ghalt kehta ha kyuke Allah khud kehta ha ke ghaib ka ilm Allah ke siwa aur kisi ko nhi. [7380: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#506
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghaib ki paanch (5) kunjian hein, jinhein Allah ke siwa aur koi nhi janta. Allah ke siwa aur koi nhi janta ke Reham-Madar (Maan ke pait) mein kya ha, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke kal kya hoga, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke barish kab ayegi, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke kis jagah koi mary ga aur Allah ke siwa koi nhi janta ke Qiyamat kab qaim hogi. [7379: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#507
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Takleef Deh Baat)
October 20, 2014, 09:09:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Takleef deh baat sun ker Allah se zyada sabar kerny wala koi nhi ha. Kam-bakht mushrik kehty hein ke Allah olad rakhta ha aur phir bhi wo unhein maaf kerta ha aur unhein rozi deta ha. [7378: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#508
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Reham Nhi Kya Jata)
October 18, 2014, 09:45:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo logun per reham nhi khata Allah bhi us per Reham nhi khata. [7376: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jarir bin Abdullah]
#509
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gunah Ka aik (1) Hissa)
October 17, 2014, 08:51:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks bhi zulm ke sath qatal kiya jyega uske (gunah ka) aik (1) hisa Hazrat Adam ke pehly bety (qabeel) per bhi paryga. [7321: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#510
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk do (2) hi admiun per ho skta ha, aik (1) wo jisy Allah ne maal diya aur usy (maal ko) Rah-e-Haq mein lutanay ki puri tarhan tofeeq mili hoti ha aur dosra (2) wo jisy Allah ne Hikmat di ha aur wo iske zarya faisla kerta ha aur uski ta'leem deta ha. [7316: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
Powered by EzPortal