Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on July 17, 2014, 09:00:38 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Asani Ko Ikhtiyar Kerna)
Post by: Bilal on July 17, 2014, 09:00:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko jab bhi do (2) cheezun mein se aik (1) ke ikhtiyar kerny ka hukam diya gya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne in mein se asaan hi ko pasand kiya, ba-shartiyake is mein gunah ka koi pehlu na ho, agr is mein gunah ka koi pehlu hota to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is se sab se zyada door hoty. Allah ki qasam! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kbhi Apny Zati mamla mein kisi se badla nhi lya, albata jab Allah ki hurmatun ko tora jata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Allah ke lye badla lety thy. [6786: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]