Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on March 25, 2013, 03:14:23 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Jis Se Hisab Lya Gya Wo Halak Ho Gya)
Post by: Bilal on March 25, 2013, 03:14:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis kisi se bhi Qiyamat ke din hisab le lya gya to wo halak ho jyega. Hazrat Ayesha ne kaha Mein ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Allah Mujhy Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per qurban kery, kya Allah ne ye irshad nhi farmaya ke "To jis ka nama'e aamal uske dahny hath mein milyga so us se asan hisab lya jyega".  Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ayat mein jis hisab ka zikar ha wo to peshi hogi. Wo sirf pesh kiye jyengy (aur bghair hisab choot jyengy) lakin jis se bhi puri tarhn hisab le lya gya wo halak hoga. [4939: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Title: Re: Sahee Bukhari Shareef (Jis Se Hisab Lya Gya Wo Halak Ho Gya)
Post by: Ali on March 26, 2013, 12:10:37 AM
JAZAKALLAH.
Title: Re: Sahee Bukhari Shareef (Jis Se Hisab Lya Gya Wo Halak Ho Gya)
Post by: safdar on March 29, 2013, 01:00:39 AM

JAZAKALLAH.

ali sb ap to bohat regular member the. ap ne post karna kiyo chor di?