Hazrat Abdullah bin Abbas ne kaha ke logun ko wa'z hafta mein sirf aik (1) din Jumma ko kya kero, agr tum is per tyar na ho to do (2) martaba agr tum zyada hi krna chahty ho to bas teen (3) din aur logun ko is Qur'an se ukta na dena, aisa na ho ke tum kuch logun ke pas pohancho, wo apni batun mein masroof hon aur tum pohanchty hi in se apni baat (ba-shakal wa'z) byan kerny lgo aur unki apas ki guftagu ko kaat do ke is tarhan wo ukta jayen, balke (aisy muqam per) tumhein khamosh rehna chahye. Jab wo tum se kahein to phir tum unhein apni batein sunao. Is tarhan ke wo bhi is taqreer ke khwahish-mand hon aur Dua mein kafia bandi se perhaiz kerty rehna, kyun ke mein (Hazrat Abdullah bin Abbas) ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Sahaba ko daikha ha ke wo hamesha aisa hi kerty thy. [6337: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]