Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on July 16, 2014, 08:36:55 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Shirk, Chori, Zina)
Post by: Bilal on July 16, 2014, 08:36:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) majlis mein bhety thy to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Mujh se ehad kro Allah ke sath koi shareek nhi tehrao gy, chori nhi krogy aur zina nhi krogy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat puri parhi "Pas tum mein se jo shaks is ehad ko pura kryga uska sawab Allah ke Yahan ha aur jo shaks in mein se ghalti ker guzra aur us per isy saza hui to wo iska kafara ha aur jo shaks in mein se koi ghalti ker guzra aur Allah ne iski pardah-poshi ki to agr Allah chahy ga to isy muaaf ker dyga aur agr chahy ga to is per azab dega". [6784: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abadah bin Saamat]